Dhoop ne likha khidkiyon pe kal
Sab paheliyon ka sahi se hal
Kayi aandhiyon se tha apna waasta
Jinki wajah se tha dhundhla raasta
Lehar seene mein uth rahi hai ik aag ki abhi
Sehar aane waali nayi hai umeed se bhari
Ungliyaan uthaate hain kyun bhala
Doosron pe khud pe naa hum yahaan
Jazbaa ragon mein hone laga ravaan
Pahunchega har disha apna yeh jahaan
Shama hai jali
Dilon mein abhi
Shama hai jali
Bujhe na kabhi
Zameen junoon ho
Yahi sukoon ho
Zameen junoon ho
O…
Darr se haar kar toote
Jo agar dil ka hausla
Yaad karna phir…
Ghutno se hi uth ke tha tu chala
Badhne laga hai sooraj yeh soch ka
Pahunchega har disha apna yeh jahaan
Shama hai jali
Dilon mein abhi
Shama hai jali
Bujhe na kabhi
Zameen junoon ho
Yahi sukoon ho
Zameen junoon ho
O…
No comments:
Post a Comment