-->

Taare Zameen Par Guitar Chords -Taare Zameen Par (Title Track)





Guitar Chords:
Intro: A-E-C#m-B-A-E-G#m-A  x2


E     A                B       E
Dekho inhein, yeh hain oons ki boodein -
E          A          B           E
Pattoun ki goodh mein aasamaan se koondein.
C#m      C#m7    B          B7/A*
Angdaai le phir, karwatt badal kar
E        A     B         E
Nazuk se moti, haansdein fisal kar -
E            DAA  A       E
Kho na jaaye yeh, taare zameen par!


Interlude: A-E-C#m-B-A-B-G#m-A


E            A           B        E
Yeh toh hain sardi mein, dhoop ki kirney -
E         A         B           E
Utrein jo aangan ko sunehara sa karney.
C#m       C#m7       B          B7/A*
Maan ke andheroon ko raushan sa kar dey,
E           A        B        E
Thithurti hatheli ki rangat badal de -
E            DAA  A       E
Kho na jaaye yeh, taare zameen par!


Interlude: A-E-C#m-B-A-B-G#m-A
           E-C#m-Asus2-Asus2-E

E
Jaise aankhon ki dibbiyan mein nindiya;
E
Aur nindiya mein meetha sa sapna;
A                           B           E
Aur sapne mein mil jaaye, farista-sa, koi.
E
Jaise rangoon bhari pichkaari;
E
Jaise titliyaan phoolon ki pyaari;
A                           B          E
Jaise bina matlab ka pyaara rista ho koi.
       E        C#m
Yeh to aasha ki lehra hai.
       A
Yeh to umeed ki seher hai,
      B            E
Khushiyon ki nehar hai -
E            DAA  A       E
Kho na jaaye yeh, taare zameen par!


Interlude: A-E-C#m-B-A-B-G#m-A
           E-E-C#m-C#m ... E-E

E
Dekho, raaton ke seeney pe yeh to
E
Jhil-mil kisi lau se ugey hain.
A                                   B              E
Yeh to ambiya ke khushboo hain - baagon se beh chale!
E
Jaise kaanch mein choodi ke tukdey,
E
Jaise khile-khile phulon ke mukhdey.
A                       B           E
Jaise bansi koi bajaaye pedon ke taale!
       E             C#m
Yeh to jhonke hain pawan ke.
         A
Hain yeh gunghroo jeevan ke,
       B              E
Yeh to sur hai chaman ke -
E            DAA  A       E
Kho na jaaye yeh, taare zameen par!


Interlude: A-E-C#m-B-A-B-G#m-A


E           A      B            E
Mohalley ki raunak galiyaan hai jaise;
E         A        B            E
Khilne ki zidd par kaliyaan hai jaise.
C#m       C#m7        B       B7/A*
Mutthi mein mausam ki jaise hawaaein;
E           A        B        E
Yeh hai buzurgon ke dil ki duwayein -
E            DAA  A       E
Kho na jaaye yeh, taare zameen par!


E
Kabhi baatein, jaise dadi naani;
E
Kabhi chalkeie jaise mum-mum paani;
A                      B             E
Kabhi ban jaye bhole sawaalon ki jhaadi.
E
Sannate mein haansi ke jaise;
E
Sune hoonthon pe khushi ke jaise;
A                                B           E
Yeh to noor hai, barse gar, teri kismat ho badi.
E
Jaise jhil mein leharaye chanda;
E
Jaise bheed mein apne ka kandha;
A                             B            E
Jaise man-mauji nadiya jhaag udaye, kuch kahe.
E
Jaise baithe-baithe meethi si jhapki;
E
Jaise pyar ki dheemi si thapki;
A                                B          E
Jaise kaanon mein sargam, hardam bajti hi rahe.
E
Jaise barkha udati hai bundiya...(Rest is incomprehensible)
E
Kho na jaaye yeh...Kho na jaaye yeh...
E                  (no chords)
Kho na jaaye yeh...Kho na jaaye yeh...


*B7/A = B7 played with A string open (as base)


Original Scale: E major



No comments:

Latest bollywood News

Designed By Seo Blogger Templates Published.. Blogger Templates